Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farasat Rizwi

  • Ghazal


jab achanak mere pahlu se mera yar uTha


jab achānak mire pahlū se mirā yaar uThā
dard siine meñ uThā aur ka.ī baar uThā

zindagī bojh na ban jaa.e tan-āsānī se
apne raste meñ kabhī ḳhud koī dīvār uThā

sarsar-e-vaqt se ġhāfil thā tū ai kibr-nazād
gir ga.ī ḳhaak zamīñ par tirī dastār uThā

vahm-e-nazāra meñ hai āfiyat-e-dīda-o-dil
bhuul kar bhī na kabhī parda-e-asrār uThā

jis se ho jaa.eñ mire chāhne vaale taqsīm
aisī dīvār na koī mire me.amār uThā

ḳhauf-e-tādīb se mazlūmoñ pe royā na gayā
shām-e-maqtal meñ koī bhī na azādār uThā

duur tak phailā huā dasht-e-balā hai bāhar
apnī mahfil se na mujh ko mire dildār uThā

nāz-bardār-e-hunar ho ga.e ruḳhsat kab ke
ab bisāt-e-suḳhan-o-naġhma-o-ash.ār uThā

sāmne tere zar-afshāñ hai na.ī sub.h-e-umīd
apnī palkoñ ko zarā dīda-e-ḳhūñ-bār uThā

kal 'farāsat' thā yahāñ majma-e-yārāñ tire saath
ab isī shahr meñ tanhā.ī ke āzār uThā

jab achanak mere pahlu se mera yar uTha
dard sine mein uTha aur kai bar uTha

zindagi bojh na ban jae tan-asani se
apne raste mein kabhi KHud koi diwar uTha

sarsar-e-waqt se ghafil tha tu ai kibr-nazad
gir gai KHak zamin par teri dastar uTha

wahm-e-nazara mein hai aafiyat-e-dida-o-dil
bhul kar bhi na kabhi parda-e-asrar uTha

jis se ho jaen mere chahne wale taqsim
aisi diwar na koi mere meamar uTha

KHauf-e-tadib se mazlumon pe roya na gaya
sham-e-maqtal mein koi bhi na azadar uTha

dur tak phaila hua dasht-e-bala hai bahar
apni mahfil se na mujh ko mere dildar uTha

naz-bardar-e-hunar ho gae ruKHsat kab ke
ab bisat-e-suKHan-o-naghma-o-ashaar uTha

samne tere zar-afshan hai nai subh-e-umid
apni palkon ko zara dida-e-KHun-bar uTha

kal 'farasat' tha yahan majma-e-yaran tere sath
ab isi shahr mein tanhai ke aazar uTha


Source: Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 120) Author : Firasat Rizvi Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+