Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farasat Rizwi

  • Ghazal


palkon par nam baqi hai


palkoñ par nam baaqī hai
ab tak vo ġham baaqī hai

zaḳhm kabhī bhar jā.eñge
vaqt kā marham baaqī hai

kaisā sitam hai vasl ke beach
hijr kā aalam baaqī hai

pichhlī mohabbat kā tujh meñ
rañg ik maddham baaqī hai

chalte rahnā hai mujh ko
jab tak ye dam baaqī hai

ek ta.alluq hai ye bhī
nafrat bāham baaqī hai

palkon par nam baqi hai
ab tak wo gham baqi hai

zaKHm kabhi bhar jaenge
waqt ka marham baqi hai

kaisa sitam hai wasl ke beach
hijr ka aalam baqi hai

pichhli mohabbat ka tujh mein
rang ek maddham baqi hai

chalte rahna hai mujh ko
jab tak ye dam baqi hai

ek talluq hai ye bhi
nafrat baham baqi hai


Source: Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 113) Author : Firasat Rizvi Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+