Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah Rizwi

  • Ghazal


jis dam KHayal-e-yar ki be-chehragi gai


jis dam ḳhayāl-e-yār kī be-chehragī ga.ī
ā.īna-e-firāq se be-raunaqī ga.ī

baiThā ġhubār-e-hasrat-e-ta.amīr ab kī baar
shauq-e-safar kī raah meñ āvārgī ga.ī

vahshat hamāre zabt kā ujḌā mazār hai
lākhoñ jatan kiye na sarāsīmgī ga.ī

ham se qabā-e-dard pe taare na Tañk sake
kasb-e-hunar kī taak meñ vāmāñdgī ga.ī

hone kā e'tibār banātī sahar ke saath
kirnoñ kī be-niyāz tar-o-tāzgī ga.ī

jis dam KHayal-e-yar ki be-chehragi gai
aaina-e-firaq se be-raunaqi gai

baiTha ghubar-e-hasrat-e-tamir ab ki bar
shauq-e-safar ki rah mein aawargi gai

wahshat hamare zabt ka ujDa mazar hai
lakhon jatan kiye na sarasimgi gai

hum se qaba-e-dard pe tare na Tank sake
kasb-e-hunar ki tak mein wamandgi gai

hone ka e'tibar banati sahar ke sath
kirnon ki be-niyaz tar-o-tazgi gai


Leave a comment

+