Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farah Rizwi

  • Ghazal


ek dar wa hua to band hazar


ek dar vā huā to band hazār
mehrbāñ kam haiñ bahra-mand hazār

hāv-hū ḳhaak laao lashkar kī
mard koī nahīñ kamand hazār

marham-e-ḳhush-mizājiyāñ chīda
dil ko pahuñchī huiiñ gazand hazār

talḳhī-e-jām-e-zīst jaatī nahīñ
Daal kar dekh lī hai qand hazār

aah niklī shumār se bāhar
ashk ho paa.e bas ki chand hazār

ek dar wa hua to band hazar
mehrban kam hain bahra-mand hazar

haw-hu KHak lao lashkar ki
mard koi nahin kamand hazar

marham-e-KHush-mizajiyan chida
dil ko pahunchi huin gazand hazar

talKHi-e-jam-e-zist jati nahin
Dal kar dekh li hai qand hazar

aah nikli shumar se bahar
ashk ho pae bas ki chand hazar


Leave a comment

+