dayār-e-shab kā muqaddar zarūr chamkegā
yahīñ kahīñ se charāġhoñ kā nuur chamkegā
kahāñ huuñ maiñ koī muusā ki ik sadā pe mirī
vo nuur phir se sar-e-koh-e-tūr chamkegā
tire jamāl kā nashsha sharāb jaisā hai
hamārī āñkhoñ se us kā surūr chamkegā
bharam jo pyaas kā rakkhegā āḳhirī dam tak
usī ke haath meñ jām-e-tuhūr chamkegā
ye kah ke daar pe ḳhud ko chaḌhā diyā maiñ ne
ki daar par bhī sar-e-be-qusūr chamkegā
luTe hue haiñ magar ham abhī nahīñ māyūs
hamāre taaj meñ phir koh-e-nūr chamkegā
talāsh kartā hai mujh musht-e-ḳhāk meñ tū abas
ġhurūr hogā jabhī to ġhurūr chamkegā
matā-e-fan se navāzā gayā hai tujh ko 'farāġh'
isī se naam tirā duur duur chamkegā
dayar-e-shab ka muqaddar zarur chamkega
yahin kahin se charaghon ka nur chamkega
kahan hun main koi musa ki ek sada pe meri
wo nur phir se sar-e-koh-e-tur chamkega
tere jamal ka nashsha sharab jaisa hai
hamari aankhon se us ka surur chamkega
bharam jo pyas ka rakkhega aaKHiri dam tak
usi ke hath mein jam-e-tuhur chamkega
ye kah ke dar pe KHud ko chaDha diya main ne
ki dar par bhi sar-e-be-qusur chamkega
luTe hue hain magar hum abhi nahin mayus
hamare taj mein phir koh-e-nur chamkega
talash karta hai mujh musht-e-KHak mein tu abas
ghurur hoga jabhi to ghurur chamkega
mata-e-fan se nawaza gaya hai tujh ko 'faragh'
isi se nam tera dur dur chamkega
Source: Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 265) Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014) Edition : 2014
Leave a comment