Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faragh Rohvi

  • Ghazal


main ek bund samundar hua to kaise hua


maiñ ek buuñd samundar huā to kaise huā
ye mojaza mire andar huā to kaise huā

ye bhed sab pe ujāgar huā to kaise huā
ki mere dil meñ tirā ghar huā to kaise huā

na chāñd ne kiyā raushan mujhe na sūraj ne
to maiñ jahāñ meñ munavvar huā to kaise huā

na ās-pās chaman hai na gul-badan koī
hamārā kamra mo.attar huā to kaise huā

zarā sī baat pe ik ġham-gusār ke aage
maiñ apne aape se bāhar huā to kaise huā

sulagte sahrā meñ tūfāñ kā sāmnā thā mujhe
ye mārka jo huā sar huā to kaise huā

vo jañg haar ke mujh se ye pūchhtā hai ki maiñ
baġhair teġh muzaffar huā to kaise huā

sunā hai amn-parastoñ kā vo ilāqa hai
vahīñ shikār kabūtar huā to kaise huā

main ek bund samundar hua to kaise hua
ye mojaza mere andar hua to kaise hua

ye bhed sab pe ujagar hua to kaise hua
ki mere dil mein tera ghar hua to kaise hua

na chand ne kiya raushan mujhe na suraj ne
to main jahan mein munawwar hua to kaise hua

na aas-pas chaman hai na gul-badan koi
hamara kamra moattar hua to kaise hua

zara si baat pe ek gham-gusar ke aage
main apne aape se bahar hua to kaise hua

sulagte sahra mein tufan ka samna tha mujhe
ye marka jo hua sar hua to kaise hua

wo jang haar ke mujh se ye puchhta hai ki main
baghair tegh muzaffar hua to kaise hua

suna hai amn-paraston ka wo ilaqa hai
wahin shikar kabutar hua to kaise hua


Leave a comment

+