Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faqeeh Haidar

  • Ghazal


jism mein gunjta hai ruh pe likkha dukh hai


jism meñ gūñjtā hai ruuh pe likkhā dukh hai
tū mirī aañkh se bahtā huā pahlā dukh hai

kyā karūñ bech bhī saktā nahīñ ganjīna-e-zaḳhm
kyā karūñ baañT bhī saktā nahīñ aisā dukh hai

ye tab-o-tāb zamāne kī jo hai nā yaaro
kījiye ġhaur to lagtā hai ki saarā dukh hai

tum mire dukh ke tanāsub ko samajhte kab ho
jitnī ḳhushiyāñ haiñ tumhārī mirā utnā dukh hai

aisā lagtā hai mire saath nahīñ kuchh bhī aur
aisā lagtā hai mire saath hamesha dukh hai

mujh se mat aañkh milāo ki mirī āñkhoñ meñ
shahr kī zard ghuTan dasht sā pyāsā dukh hai

le ga.e log vo dariyā-e-javāñ apne saath
aur mire haath jo aayā hai vo sahrā dukh hai

kyā batā.ūñ ki liye phirtā huuñ dukh kitne qadīm
tum samajhtī ho faqat mujh ko tumhārā dukh hai

us ke lahje meñ thakan hai na hī āsār-e-marg
us kī āñkhoñ meñ magar sab se anokhā dukh hai

ham kisī shaḳhs ke dukh se nahīñ milte 'haidar'
jo zamāne se alag hai vo hamārā dukh hai

jism mein gunjta hai ruh pe likkha dukh hai
tu meri aankh se bahta hua pahla dukh hai

kya karun bech bhi sakta nahin ganjina-e-zaKHm
kya karun banT bhi sakta nahin aisa dukh hai

ye tab-o-tab zamane ki jo hai na yaro
kijiye ghaur to lagta hai ki sara dukh hai

tum mere dukh ke tanasub ko samajhte kab ho
jitni KHushiyan hain tumhaari mera utna dukh hai

aisa lagta hai mere sath nahin kuchh bhi aur
aisa lagta hai mere sath hamesha dukh hai

mujh se mat aankh milao ki meri aankhon mein
shahr ki zard ghuTan dasht sa pyasa dukh hai

le gae log wo dariya-e-jawan apne sath
aur mere hath jo aaya hai wo sahra dukh hai

kya bataun ki liye phirta hun dukh kitne qadim
tum samajhti ho faqat mujh ko tumhaara dukh hai

us ke lahje mein thakan hai na hi aasar-e-marg
us ki aankhon mein magar sab se anokha dukh hai

hum kisi shaKHs ke dukh se nahin milte 'haidar'
jo zamane se alag hai wo hamara dukh hai


Leave a comment

+