aap se sharh-e-ārzū to kareñ
aap taklīf-e-guftugū to kareñ
vo yahīñ haiñ jo vo kahīñ bhī nahīñ
aa.iye dil meñ justujū to kareñ
ahl-e-duniyā mujhe samajh leñge
dil kisī din zarā lahū to kareñ
rañg o bū kyā hai ye to samjhā do
sair-e-duniyā-e-rañg-o-bū to kareñ
tum se milne kī aarzū hī sahī
tum se milne kī aarzū to kareñ
vo udhar ruḳh idhar hai mayyat kā
log 'fānī' ko qibla-rū to kareñ
aap se sharh-e-arzu to karen
aap taklif-e-guftugu to karen
wo yahin hain jo wo kahin bhi nahin
aaiye dil mein justuju to karen
ahl-e-duniya mujhe samajh lenge
dil kisi din zara lahu to karen
rang o bu kya hai ye to samjha do
sair-e-duniya-e-rang-o-bu to karen
tum se milne ki aarzu hi sahi
tum se milne ki aarzu to karen
wo udhar ruKH idhar hai mayyat ka
log 'fani' ko qibla-ru to karen
Leave a comment