tark ulfat meñ bhī us ne ye rivāyat rakkhī
roz milne kī purānī vahī aadat rakkhī
tū gayā hai to palaT kar nahīñ pūchhā maiñ ne
varna barsoñ tirī yādoñ kī amānat rakkhī
kal achānak koī tasvīr banī kāġhaz par
muddatoñ sab se chhupā kar terī sūrat rakkhī
vo muqaddar meñ nahīñ hai to usī ke dil meñ
kis ne har shai se ziyāda chāhat rakkhī
ḳhud hī miltā hai bichhaḌtā hai 'yashab' apne liye
āne-jāne kī ajab us ne suhūlat rakkhī
tark ulfat mein bhi us ne ye riwayat rakkhi
roz milne ki purani wahi aadat rakkhi
tu gaya hai to palaT kar nahin puchha main ne
warna barson teri yaadon ki amanat rakkhi
kal achanak koi taswir bani kaghaz par
muddaton sab se chhupa kar teri surat rakkhi
wo muqaddar mein nahin hai to usi ke dil mein
kis ne har shai se ziyaada chahat rakkhi
KHud hi milta hai bichhaDta hai 'yashab' apne liye
aane-jaane ki ajab us ne suhulat rakkhi
Source: Kitab-e-tanhaii
Leave a comment