Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fani Badayuni

  • Ghazal


Daro na tum ki na sun le kahin KHuda meri


Daro na tum ki na sun le kahīñ ḳhudā merī
ki rū-shanās-e-ijābat nahīñ duā merī

vo tum ki tum ne jafā kī to kuchh burā na kiyā
vo maiñ ki zikr ke qābil nahīñ vafā merī

chale bhī aao ki duniyā se jā rahā hai koī
suno ki phir na sunoge tum iltijā merī

kuchh aisī yaas se hasrat se maiñ ne dam toḌā
jigar ko thaam ke rah rah ga.ī qazā merī

ḳhudā ne zahr kī tāsīr baḳhsh dī 'fānī'
taras ga.ī thī asar ko bahut duā merī

Daro na tum ki na sun le kahin KHuda meri
ki ru-shanas-e-ijabat nahin dua meri

wo tum ki tum ne jafa ki to kuchh bura na kiya
wo main ki zikr ke qabil nahin wafa meri

chale bhi aao ki duniya se ja raha hai koi
suno ki phir na sunoge tum iltija meri

kuchh aisi yas se hasrat se main ne dam toDa
jigar ko tham ke rah rah gai qaza meri

KHuda ne zahr ki tasir baKHsh di 'fani'
taras gai thi asar ko bahut dua meri

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 Daro na tum ki na sun le kahin KHuda meri Nomaan Shauque

Leave a comment

+