Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fani Badayuni

  • Ghazal


be-zauq-e-nazar bazm-e-tamasha na rahegi


be-zauq-e-nazar bazm-e-tamāshā na rahegī
muñh pher liyā ham ne to duniyā na rahegī

iizā na rahegī jo gavārā na rahegī
chheḌā mujhe duniyā ne to duniyā na rahegī

dil le ke ye kyā zid hai ki ab jaan bhī kyuuñ ho
ye bhī na rahegī bahut achchhā na rahegī

ye dard-e-mohabbat ġham-e-duniyā to nahīñ hai
ab maut bhī jiine kā sahārā na rahegī

aisā bhī koī din mirī qismat meñ hai 'fānī'
jis din mujhe marne kī tamannā na rahegī

be-zauq-e-nazar bazm-e-tamasha na rahegi
munh pher liya hum ne to duniya na rahegi

iza na rahegi jo gawara na rahegi
chheDa mujhe duniya ne to duniya na rahegi

dil le ke ye kya zid hai ki ab jaan bhi kyun ho
ye bhi na rahegi bahut achchha na rahegi

ye dard-e-mohabbat gham-e-duniya to nahin hai
ab maut bhi jine ka sahaara na rahegi

aisa bhi koi din meri qismat mein hai 'fani'
jis din mujhe marne ki tamanna na rahegi

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 be-zauq-e-nazar bazm-e-tamasha na rahegi Nomaan Shauque

Leave a comment

+