kyā chhupāte kisī se haal apnā
jī hī jab ho gayā niDhāl apnā
ham haiñ us ke ḳhayāl kī tasvīr
jis kī tasvīr hai ḳhayāl apnā
vo bhī ab ġham ko ġham samajhte haiñ
duur pahuñchā magar malāl apnā
tū ne rakh lī gunāhgār kī sharm
kaam aayā na infi.āl apnā
dekh dil kī zamīñ laraztī hai
yād-e-jānāñ qadam sambhāl apnā
bā-ḳhabar haiñ vo sab kī hālat se
laao ham pūchh leñ na haal apnā
maut bhī to na mil sakī 'fānī'
kis se puurā huā savāl apnā
kya chhupate kisi se haal apna
ji hi jab ho gaya niDhaal apna
hum hain us ke KHayal ki taswir
jis ki taswir hai KHayal apna
wo bhi ab gham ko gham samajhte hain
dur pahuncha magar malal apna
tu ne rakh li gunahgar ki sharm
kaam aaya na infial apna
dekh dil ki zamin larazti hai
yaad-e-jaanan qadam sambhaal apna
ba-KHabar hain wo sab ki haalat se
lao hum puchh len na haal apna
maut bhi to na mil saki 'fani'
kis se pura hua sawal apna
Leave a comment