ik fasāna sun ga.e ik kah ga.e
maiñ jo royā muskurā kar rah ga.e
yā tire mohtāj haiñ ai ḳhūn-e-dil
yā inhīñ āñkhoñ se dariyā bah ga.e
maut un kā muñh hī taktī rah ga.ī
jo tirī furqat ke sadme sah ga.e
tū salāmat hai to ham ai dard-e-dil
mar hī jā.eñge jo jiite rah ga.e
phir kisī kī yaad ne taḌpā diyā
phir kaleja thaam kar ham rah ga.e
uTh ga.e duniyā se 'fānī' ahl-e-zauq
ek ham marne ko zinda rah ga.e
ek fasana sun gae ek kah gae
main jo roya muskura kar rah gae
ya tere mohtaj hain ai KHun-e-dil
ya inhin aankhon se dariya bah gae
maut un ka munh hi takti rah gai
jo teri furqat ke sadme sah gae
tu salamat hai to hum ai dard-e-dil
mar hi jaenge jo jite rah gae
phir kisi ki yaad ne taDpa diya
phir kaleja tham kar hum rah gae
uTh gae duniya se 'fani' ahl-e-zauq
ek hum marne ko zinda rah gae
Leave a comment