aañkh uThā.ī hī thī ki khaa.ī choT
bach ga.ī aañkh dil pe aa.ī choT
dard-e-dil kī unheñ ḳhabar kyā ho
jāntā kaun hai parā.ī choT
aa.ī tanhā na ḳhāna-e-dil meñ
dard ko apne saath laa.ī choT
teġh thī haath meñ na ḳhanjar thā
us ne kyā jaane kyā lagā.ī choT
yuuñ na qātil ko jab yaqīñ aayā
ham ne dil khol kar dikhā.ī choT
aur kyā karte ham balā-kash-e-ġham
jo paḌī dil pe vo uThā.ī choT
kahīñ chhuptī bhī hai lagī dil kī
laakh 'fānī' ne go chhupā.ī choT
aankh uThai hi thi ki khai choT
bach gai aankh dil pe aai choT
dard-e-dil ki unhen KHabar kya ho
jaanta kaun hai parai choT
aai tanha na KHana-e-dil mein
dard ko apne sath lai choT
tegh thi hath mein na KHanjar tha
us ne kya jaane kya lagai choT
yun na qatil ko jab yaqin aaya
hum ne dil khol kar dikhai choT
aur kya karte hum bala-kash-e-gham
jo paDi dil pe wo uThai choT
kahin chhupti bhi hai lagi dil ki
lakh 'fani' ne go chhupai choT
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
aankh uThai hi thi ki khai choT
Nomaan Shauque
Leave a comment