Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaseen Zameer

  • Ghazal


KHuda-ra aa ke meri lo KHabar kahan ho tum


ḳhudā-rā aa ke mirī lo ḳhabar kahāñ ho tum
mire habīb mire chāra-gar kahāñ ho tum

na rāstoñ kī ḳhabar aur na manziloñ kā pata
kahāñ maiñ jā.ūñ mire rāhbar kahāñ ho tum

ai bāġh-e-dil ke milansār bāġhbān-e-za.īf
daraḳht dene lage haiñ samar kahāñ ho tum

sunā.ī detī hai har pal mujhe tirī āvāz
dikhā.ī kyuuñ nahīñ dete magar, kahāñ ho tum?

ġhazab kī dhuup hai aur sā.ebān koī nahīñ
maiñ jal rahā huuñ mire bām-o-dar kahāñ ho tum

kuchh un kī ḳhair ḳhabar saath le ke aa.e ho?
chale bhī aao mire nāma-bar kahāñ ho tum

KHuda-ra aa ke meri lo KHabar kahan ho tum
mere habib mere chaara-gar kahan ho tum

na raston ki KHabar aur na manzilon ka pata
kahan main jaun mere rahbar kahan ho tum

ai bagh-e-dil ke milansar baghban-e-zaif
daraKHt dene lage hain samar kahan ho tum

sunai deti hai har pal mujhe teri aawaz
dikhai kyun nahin dete magar, kahan ho tum?

ghazab ki dhup hai aur saeban koi nahin
main jal raha hun mere baam-o-dar kahan ho tum

kuchh un ki KHair KHabar sath le ke aae ho?
chale bhi aao mere nama-bar kahan ho tum


Leave a comment

+