Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana Nizami Kanpuri

  • Ghazal


yun teri talash mein tere KHasta-jaan chale


yuuñ tirī talāsh meñ tere ḳhasta-jāñ chale
jaise jhuum jhuum kar gard-e-kārvāñ chale

aaj yuuñ hī sāqiyā jām-e-arġhuvāñ chale
jaise bazm-e-vāz meñ shaiḳh kī zabāñ chale

rāh-e-ġham meñ ham se vo yuuñ kashāñ kashāñ chale
jaise bach ke ishq se husn-e-bad-gumāñ chale

dil dhaḌak dhaḌak uThā yuuñ kisī ko dekh kar
jis tarah bahār meñ nabz-e-gulistāñ chale

dil kī anjuman se yuuñ jā rahā hai zabt-e-ġham
jaise raaz kholne koī rāz-dāñ chale

shaiḳh jā rahā hai yuuñ sū-e-mai-kada 'fanā'
sar jhukā ke jis tarah umr-e-rā.egāñ chale

yun teri talash mein tere KHasta-jaan chale
jaise jhum jhum kar gard-e-karwan chale

aaj yun hi saqiya jam-e-arghuwan chale
jaise bazm-e-waz mein shaiKH ki zaban chale

rah-e-gham mein hum se wo yun kashan kashan chale
jaise bach ke ishq se husn-e-bad-guman chale

dil dhaDak dhaDak uTha yun kisi ko dekh kar
jis tarah bahaar mein nabz-e-gulistan chale

dil ki anjuman se yun ja raha hai zabt-e-gham
jaise raaz kholne koi raaz-dan chale

shaiKH ja raha hai yun su-e-mai-kada 'fana'
sar jhuka ke jis tarah umr-e-raegan chale


Leave a comment

+