Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana Nizami Kanpuri

  • Ghazal


wo jaane kitna sar-e-bazm sharmsar hua


vo jaane kitnā sar-e-bazm sharmsār huā
sunā ke apnī ġhazal maiñ qusūr-vār huā

hazār baar vo guzrā hai be-niyāzāna
na jaane kyuuñ mujhe ab ke hī nā-gavār huā

hazāroñ haath mirī samt ek saath uThe
magar maiñ ek hī patthar meñ sañgsār huā

maiñ terī yaad meñ gum thā ki khā gayā Thokar
ye hādsa mirī rāhoñ meñ baar baar huā

wo jaane kitna sar-e-bazm sharmsar hua
suna ke apni ghazal main qusur-war hua

hazar bar wo guzra hai be-niyazana
na jaane kyun mujhe ab ke hi na-gawar hua

hazaron hath meri samt ek sath uThe
magar main ek hi patthar mein sangsar hua

main teri yaad mein gum tha ki kha gaya Thokar
ye hadsa meri rahon mein bar bar hua


Leave a comment

+