Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


har ghaDi pesh-e-nazar ishq mein kya kya na raha


har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā
merā dil bas tirī tasvīr kā dīvāna rahā

ye sitam mujh pe mire ishq kā achchhā na rahā
tujh ko dekhā to mirā dil mirā apnā na rahā

aisā mad.hosh kiyā terī tajallī ne mujhe
tuur bhī mere liye vaj.h-e-tamāsha na rahā

yuuñ tire naqsh-e-kaf-e-pā pe adā kī hai namāz
sar meñ ka.aba ke liye ek bhī sajda na rahā

zindagānī tujhe le jā.ūñ meñ kis ke dar par
dil meñ hasrat na rahī sar meñ bhī saudā na rahā

vo na ka.abe meñ milā hai na sanam-ḳhāne meñ
kyā qayāmat hai ki vo shoḳh kisī kā na rahā

ibtidā ye thī ki maiñ apnā samajhtā thā unheñ
intihā ye hai ki maiñ aap bhī apnā na rahā

vo parāyā thā 'fanā' is kā gilā kyā kiije
ġham to ye hai ki maiñ ḳhud aap bhī apnā na rahā

har ghaDi pesh-e-nazar ishq mein kya kya na raha
mera dil bas teri taswir ka diwana raha

ye sitam mujh pe mere ishq ka achchha na raha
tujh ko dekha to mera dil mera apna na raha

aisa madhosh kiya teri tajalli ne mujhe
tur bhi mere liye wajh-e-tamasha na raha

yun tere naqsh-e-kaf-e-pa pe ada ki hai namaz
sar mein kaba ke liye ek bhi sajda na raha

zindagani tujhe le jaun mein kis ke dar par
dil mein hasrat na rahi sar mein bhi sauda na raha

wo na kabe mein mila hai na sanam-KHane mein
kya qayamat hai ki wo shoKH kisi ka na raha

ibtida ye thi ki main apna samajhta tha unhen
intiha ye hai ki main aap bhi apna na raha

wo paraya tha 'fana' is ka gila kya kije
gham to ye hai ki main KHud aap bhi apna na raha


Leave a comment

+