zaḳhm mere dil pe ik aisā lagā
apnī jaañ kā ruuh ko dhaḌkā lagā
us kā chehra bhī jo auroñ sā lagā
āsmāñ pe chāñd miTTī kā lagā
dekhtā kyā kyā kanār-e-ābjū
ḳhud maiñ apne aap ko ulTā lagā
ḳhud-numā.ī ke bhare ik shahr meñ
apne qad se har koī ūñchā lagā
raushnī dil kī achānak gul huī
ḳhud ko thoḌī der meñ andhā lagā
saa.e meñ us ke talab kī dhuup thī
dhuup meñ vo niim kā saayā lagā
zindagī se haath ham ne dho liye
vaqt ik bahtā huā dariyā lagā
zaKHm mere dil pe ek aisa laga
apni jaan ka ruh ko dhaDka laga
us ka chehra bhi jo auron sa laga
aasman pe chand miTTi ka laga
dekhta kya kya kanar-e-abju
KHud main apne aap ko ulTa laga
KHud-numai ke bhare ek shahr mein
apne qad se har koi uncha laga
raushni dil ki achanak gul hui
KHud ko thoDi der mein andha laga
sae mein us ke talab ki dhup thi
dhup mein wo nim ka saya laga
zindagi se hath hum ne dho liye
waqt ek bahta hua dariya laga
Source: Book : Pani Patthar (Pg. 94) Author : Yasiin Afzaal Publication : Maktaba Fikr-e-Nav (1986) Edition : 1986
Leave a comment