Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


na dahr mein na haram mein jabin jhuki hogi


na dahr meñ na haram meñ jabīñ jhukī hogī
tumhāre dar pe adā merī bandagī hogī

nigāh-e-yār mirī samt phir uThī hogī
sambhal sakūñgā na maiñ aisī ye be-ḳhudī hogī

nigāh pher ke jā to rahā hai tū lekin
tire baġhair basar kaise zindagī hogī

kisī tarah bhī piyeñ ham ġharaz hai piine se
nahīñ hai jaam to āñkhoñ se mai-kashī hogī

tamām hosh kī duniyā nisār hai us par
tirī galī meñ jise niiñd aa ga.ī hogī

guzar hī jā.egā duniyā se be-talab ho kar
tire ḳhayāl se jis dil ko dostī hogī

jamāl-e-yār pe yuuñ jaañ nisār kartā huuñ
fanā ke ba.ad 'fanā' ghar meñ raushnī hogī

na dahr mein na haram mein jabin jhuki hogi
tumhaare dar pe ada meri bandagi hogi

nigah-e-yar meri samt phir uThi hogi
sambhal sakunga na main aisi ye be-KHudi hogi

nigah pher ke ja to raha hai tu lekin
tere baghair basar kaise zindagi hogi

kisi tarah bhi piyen hum gharaz hai pine se
nahin hai jam to aankhon se mai-kashi hogi

tamam hosh ki duniya nisar hai us par
teri gali mein jise nind aa gai hogi

guzar hi jaega duniya se be-talab ho kar
tere KHayal se jis dil ko dosti hogi

jamal-e-yar pe yun jaan nisar karta hun
fana ke baad 'fana' ghar mein raushni hogi


Leave a comment

+