Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fana bulandshahri

  • Ghazal


kafir-e-ishq ko kya se kya kar diya


kāfir-e-ishq ko kyā se kyā kar diyā
but ne haq āshnā āshnā kar diyā

koī dekhe haqīqat mire kufr kī
maiñ ne jis but ko puujā ḳhudā kar diyā

pārsā.ī dharī rah ga.ī shaiḳh kī
chashm-e-jādū-asar tū ne kyā kar diyā

dekhne vaale ka.aba samajhne lage
kitnā raushan tirā naqsh-e-pā kar diyā

but-parastī meñ kī maiñ ne vo bandagī
but-kade ko bhī qibla-numā kar diyā

ai fanā merī mayyat pe kahte haiñ vo
aap ne apnā va.ada vafā kar diyā

kafir-e-ishq ko kya se kya kar diya
but ne haq aashna aashna kar diya

koi dekhe haqiqat mere kufr ki
main ne jis but ko puja KHuda kar diya

parsai dhari rah gai shaiKH ki
chashm-e-jadu-asar tu ne kya kar diya

dekhne wale kaba samajhne lage
kitna raushan tera naqsh-e-pa kar diya

but-parasti mein ki main ne wo bandagi
but-kade ko bhi qibla-numa kar diya

ai fana meri mayyat pe kahte hain wo
aap ne apna wada wafa kar diya


Leave a comment

+