dil butoñ pe nisār karte haiñ
kufr ko pā.edār karte haiñ
jin kā maz.hab sanam-parastī ho
kāfirī iḳhtiyār karte haiñ
us kā īmān lūTte haiñ sanam
jis ko apnā shikār karte haiñ
hausla merā āzmāne ko
vo sitam baar baar karte haiñ
is se baḌh kar nahīñ namāz koī
apnī hastī se pyaar karte haiñ
ai 'fanā' dil sambhāl kar rakhnā
but nigāhoñ se vaar karte haiñ
dil buton pe nisar karte hain
kufr ko paedar karte hain
jin ka mazhab sanam-parasti ho
kafiri iKHtiyar karte hain
us ka iman luTte hain sanam
jis ko apna shikar karte hain
hausla mera aazmane ko
wo sitam bar bar karte hain
is se baDh kar nahin namaz koi
apni hasti se pyar karte hain
ai 'fana' dil sambhaal kar rakhna
but nigahon se war karte hain
Leave a comment