Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fakhr Zaman

  • Ghazal


mushkil se chaman mein hamein ek bar mila phul


mushkil se chaman meñ hameñ ek baar milā phuul
bas haath lagāyā thā ki Tahnī se jhaḌā phuul

ḳhushbū jo nahīñ hai na sahī rañg to dekho
bāloñ meñ sajā lo koī kāġhaz kā banā phuul

is shab ko chamak kī nahīñ hājat se mahak kī
āñkhoñ se sitāre nahīñ hoñToñ se girā phuul

ab tak tire hoñToñ pe tabassum kā gumāñ hai
ham ko to hai mahbūb yahī ādh-khilā phuul

is dhuup kī shiddat meñ bhī be-āb haiñ paude
hālāt yahī haiñ to gumāñ hai ki gayā phuul

mushkil se chaman mein hamein ek bar mila phul
bas hath lagaya tha ki Tahni se jhaDa phul

KHushbu jo nahin hai na sahi rang to dekho
baalon mein saja lo koi kaghaz ka bana phul

is shab ko chamak ki nahin hajat se mahak ki
aankhon se sitare nahin honTon se gira phul

ab tak tere honTon pe tabassum ka guman hai
hum ko to hai mahbub yahi aadh-khila phul

is dhup ki shiddat mein bhi be-ab hain paude
haalat yahi hain to guman hai ki gaya phul


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+