Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizul Amin Faiz

  • Ghazal


baqi hai ummid zara si


baaqī hai ummīd zarā sī
ai parda-var diid zarā sī

jin meñ zehānat thī vo karte
kyoñ andhī taqlīd zarā sī

maiñ bīmār-dil bach jaatā
kar dete tākīd zarā sī

aur bhī tāza-dam kartī hai
fan ko mire tanqīd zarā sī

duniyā bhar ke kufr pe tanhā
haavī hai tauhīd zarā sī

dil kī sunūñgā lekin pahle
aql kare tā.īd zarā sī

'faiz' jo tīsoñ roza rakkhe
kyoñ vo manā.eñ iid zarā sī

baqi hai ummid zara si
ai parda-war did zara si

jin mein zehanat thi wo karte
kyon andhi taqlid zara si

main bimar-dil bach jata
kar dete takid zara si

aur bhi taza-dam karti hai
fan ko mere tanqid zara si

duniya bhar ke kufr pe tanha
hawi hai tauhid zara si

dil ki sununga lekin pahle
aql kare taid zara si

'faiz' jo tison roza rakkhe
kyon wo manaen id zara si


Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+