Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizul Amin Faiz

  • Ghazal


tolta kya mujhko koi jauhari mizan mein


toltā kyā mujh ko koī jauharī mīzān meñ
maiñ thā merā aur paḌā thā ko.ele kī kaan meñ

tum se to hotā nahīñ hai e'tirāf-e-fan mirā
chand jumle maiñ hī kahtā huuñ tumhārī shaan maiñ

barsar-e-paikār us ko dekh kar sab shaad the
jā lagā sāhil se vo tinkā magar tūfān meñ

saj rahī haiñ phir siyāsī manDiyāñ chāroñ taraf
dekhnā tabdīl hogā shahr qabristān meñ

ishq meñ sahrā-navardī raas kyā aatī mujhe
vo thā koī aur jo phirtā thā registān meñ

'faiz' ye mujh ko yaqīñ hai sāzishoñ ke bāvajūd
phūltī phaltī rahegī urdu hindostān meñ

tolta kya mujh ko koi jauhari mizan mein
main tha mera aur paDa tha koele ki kan mein

tum se to hota nahin hai e'tiraf-e-fan mera
chand jumle main hi kahta hun tumhaari shan main

barsar-e-paikar us ko dekh kar sab shad the
ja laga sahil se wo tinka magar tufan mein

saj rahi hain phir siyasi manDiyan chaaron taraf
dekhna tabdil hoga shahr qabristan mein

ishq mein sahra-nawardi ras kya aati mujhe
wo tha koi aur jo phirta tha registan mein

'faiz' ye mujh ko yaqin hai sazishon ke bawajud
phulti phalti rahegi urdu hindostan mein


Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+