zahr par zahr chal nahīñ saktā
saañp bichchhū nigal nahīñ saktā
tajraba laakh kījiye is par
phir bhī patthar pighal nahīñ saktā
bhuul baiThūñgā tujh ko jiite jī
maiñ to itnā badal nahīñ saktā
ġhair kī Taañg khīñch kar bhaa.ī
koī aage nikal nahīñ saktā
us kī marzī agar nahīñ hogī
girne vaalā sambhal nahīñ saktā
noch saktā hai vo hamārā par
azm lekin kuchal nahīñ saktā
zahr par zahr chal nahin sakta
sanp bichchhu nigal nahin sakta
tajraba lakh kijiye is par
phir bhi patthar pighal nahin sakta
bhul baiThunga tujh ko jite ji
main to itna badal nahin sakta
ghair ki Tang khinch kar bhai
koi aage nikal nahin sakta
us ki marzi agar nahin hogi
girne wala sambhal nahin sakta
noch sakta hai wo hamara par
azm lekin kuchal nahin sakta
Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem
Leave a comment