Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizul Amin Faiz

  • Ghazal


sham-o-sahar yun chupke chupke rona kya


shām-o-sahar yuuñ chupke chupke ronā kyā
kisī kī ḳhātir itnā pāgal honā kyā

hosh gañvā dete haiñ tum se mil kar log
kar dete ho tum bhī jādū-Tonā kyā

pyaar vo shai hai jis kā koī mol nahīñ
us ke aage chāñdī kyā hai sonā kyā

jab jī chāhā tum ne us ko toḌ diyā
jab hī bolo dil thā merā khilaunā kyā

'faiz' yatīm-o-bekas se ye pūchhoge
maañ ke āñchal kā hotā hai konā kyā

sham-o-sahar yun chupke chupke rona kya
kisi ki KHatir itna pagal hona kya

hosh ganwa dete hain tum se mil kar log
kar dete ho tum bhi jadu-Tona kya

pyar wo shai hai jis ka koi mol nahin
us ke aage chandi kya hai sona kya

jab ji chaha tum ne us ko toD diya
jab hi bolo dil tha mera khilauna kya

'faiz' yatim-o-bekas se ye puchhoge
man ke aanchal ka hota hai kona kya


Source: Book : Handwriting File Mail By Salim Saleem

Leave a comment

+