Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizan Hashmi

  • Ghazal


bahut sa kaam to pahle hi kar liya maine


bahut sā kaam to pahle hī kar liyā maiñ ne
jahāñ jahāñ mujhe Darnā thā Dar liyā maiñ ne

ḳhalā meñ girvī rakkhā apne saare ḳhvāboñ ko
aur is zamīn pe chhoTā sā ghar liyā maiñ ne

bahut shadīd tavajjoh kā sāmnā thā mujhe
so ik gilass ko paanī se bhar liyā maiñ ne

ḳhudā jahāz ke andar se rizq pheñktā thā
ḳhudā kā shukr hai kuchh catch kar liyā maiñ ne

havā meñ haath ghumāyā ġhazal nahīñ aa.ī
uchak ke phuul hī kāġhaz pe dhar liyā maiñ ne

tamām dost samundar ke paar jaane lage
par ek dil ko to sāhil pe dhar liyā maiñ ne

bahut sa kaam to pahle hi kar liya main ne
jahan jahan mujhe Darna tha Dar liya main ne

KHala mein girwi rakkha apne sare KHwabon ko
aur is zamin pe chhoTa sa ghar liya main ne

bahut shadid tawajjoh ka samna tha mujhe
so ek gilass ko pani se bhar liya main ne

KHuda jahaz ke andar se rizq phenkta tha
KHuda ka shukr hai kuchh catch kar liya main ne

hawa mein hath ghumaya ghazal nahin aai
uchak ke phul hi kaghaz pe dhar liya main ne

tamam dost samundar ke par jaane lage
par ek dil ko to sahil pe dhar liya main ne

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Faizan Hashmi Faizan Hashmi

Leave a comment

+