Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizan Arif

  • Ghazal


zulm ki rah mein diwar hua karte the


zulm kī raah meñ dīvār huā karte the
ham kabhī azm ke kohsār huā karte the

shahr sunsān hai un chāñd se chehroñ ke baġhair
jo darīchoñ se numūdār huā karte the

mujh se mil kar haiñ ajab ālam-e-hairānī meñ
jo mire fan ke parastār huā karte the

zindagī kis qadar āsān huā kartī thī
log jab sāhab-e-kirdār huā karte the

us kī zulfoñ meñ chamakte the sitāre har pal
har ghaḌī raat ke āsār huā karte the

ab vahāñ fasl imārāt kī ug aa.ī hai
jab jagah par ghane ashjār huā karte the

terī palkoñ ke ishāre ko samajh jaate the
ham kabhī itne samajhdār huā karte the

terī tasvīr nigāhoñ meñ sajī rahtī thī
ham to sote meñ bhī bedār huā karte the

tujh ko ab yaad nahīñ hai ki tirī ḳhātir ham
kaise rusvā sar-e-bāzār huā karte the

jaane kis haal meñ hogī vo mirī jān-e-hayāt
jis kī ḳhātir mire ash.ār huā karte the

jā chuke ab vo zamāne ki mire shahr ke log
ishq meñ tere giraftār huā karte the

be-ḳhabar ho ke zamāne ke har ik kaam se ham
tere baare meñ ḳhabar-dār huā karte the

ab use paane kī ḳhvāhish bhī nahīñ hai 'faizān'
ham kabhī jis ke talabgār huā karte the

zulm ki rah mein diwar hua karte the
hum kabhi azm ke kohsar hua karte the

shahr sunsan hai un chand se chehron ke baghair
jo darichon se numudar hua karte the

mujh se mil kar hain ajab aalam-e-hairani mein
jo mere fan ke parastar hua karte the

zindagi kis qadar aasan hua karti thi
log jab sahab-e-kirdar hua karte the

us ki zulfon mein chamakte the sitare har pal
har ghaDi raat ke aasar hua karte the

ab wahan fasl imaraat ki ug aai hai
jab jagah par ghane ashjar hua karte the

teri palkon ke ishaare ko samajh jate the
hum kabhi itne samajhdar hua karte the

teri taswir nigahon mein saji rahti thi
hum to sote mein bhi bedar hua karte the

tujh ko ab yaad nahin hai ki teri KHatir hum
kaise ruswa sar-e-bazar hua karte the

jaane kis haal mein hogi wo meri jaan-e-hayat
jis ki KHatir mere ashaar hua karte the

ja chuke ab wo zamane ki mere shahr ke log
ishq mein tere giraftar hua karte the

be-KHabar ho ke zamane ke har ek kaam se hum
tere bare mein KHabar-dar hua karte the

ab use pane ki KHwahish bhi nahin hai 'faizan'
hum kabhi jis ke talabgar hua karte the


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 426) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+