Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz ul Hasan Khayal

  • Ghazal


humne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah


ham ne sahrā ko sajāyā thā gulistāñ kī tarah
tum ne gulshan ko banāyā hai bayābāñ kī tarah

raat kā zahar piye ḳhvāb kā āñchal oḌhe
kaun hai saath mire gardish-e-daurāñ kī tarah

DhūñDhtā phirtā huuñ ab tak bhī haiñ sahrā sahrā
usī lamhe ko jo thā fasl-e-bahārāñ kī tarah

maslahat-kosh zamāne kā bharosa kyā hai
jo bhī miltā hai yahāñ gardish-e-daurāñ kī tarah

aaj vo lamhe mujhe Daste haiñ tanhā pā kar
kabhī mahbūb the jo mujh ko dil-o-jāñ kī tarah

jaane kyā baat hai kyuuñ jashn-e-masarrat meñ nadīm
yaad aatī hai tirī shām-e-ġharībāñ kī tarah

kab talak shahr kī galiyoñ meñ phiroge yaaro
āsmānoñ pe uḌo taḳht-e-sulaimāñ kī tarah

ye to parvānoñ ke dil haiñ jo pighal jaate haiñ
kaun jaltā hai yahāñ sham-e-shabistāñ kī tarah

kaun ḳhvāboñ ke jazīre se chalā aayā 'ḳhayāl'
dil meñ ik raushnī hai sub.h-e-daraḳhshāñ kī tarah

hum ne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah
tum ne gulshan ko banaya hai bayaban ki tarah

raat ka zahar piye KHwab ka aanchal oDhe
kaun hai sath mere gardish-e-dauran ki tarah

DhunDhta phirta hun ab tak bhi hain sahra sahra
usi lamhe ko jo tha fasl-e-bahaaran ki tarah

maslahat-kosh zamane ka bharosa kya hai
jo bhi milta hai yahan gardish-e-dauran ki tarah

aaj wo lamhe mujhe Daste hain tanha pa kar
kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jaan ki tarah

jaane kya baat hai kyun jashn-e-masarrat mein nadim
yaad aati hai teri sham-e-ghariban ki tarah

kab talak shahr ki galiyon mein phiroge yaro
aasmanon pe uDo taKHt-e-sulaiman ki tarah

ye to parwanon ke dil hain jo pighal jate hain
kaun jalta hai yahan sham-e-shabistan ki tarah

kaun KHwabon ke jazire se chala aaya 'KHayal'
dil mein ek raushni hai subh-e-daraKHshan ki tarah


Source: Subh Ka Suraj

Leave a comment

+