Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Yawar

  • Ghazal


raushni mere charaghon ki dhari rahna thi


raushnī mere charāġhoñ kī dharī rahnā thī
phir bhī sūraj se mirī ham-safrī rahnā thī

mausam-e-dīd meñ ik sabz-parī kā saaya
ab gila kyā ki tabī.at to harī rahnā thī

maiñ ki huuñ ādam-e-āzaim kī rivāyat kā naqīb
merī shoḳhī sabab-e-dar-ba-darī rahnā thī

ḳhvāb irfān-e-haqīqat ke tamannā.ī the
zindagī aur mirī rāhbarī rahnā thī

aaj bhī zaḳhm hī khilte haiñ sar-e-shāḳh-e-nihāl
naḳhl-e-ḳhvāhish pe vahī be-samarī rahnā thī

sāz-o-sāmān-e-ta.ayyush to bahut the 'yāvar'
apne hisse meñ yahī harf-garī rahnā thī

raushni mere charaghon ki dhari rahna thi
phir bhi suraj se meri ham-safri rahna thi

mausam-e-did mein ek sabz-pari ka saya
ab gila kya ki tabiat to hari rahna thi

main ki hun aadam-e-azaim ki riwayat ka naqib
meri shoKHi sabab-e-dar-ba-dari rahna thi

KHwab irfan-e-haqiqat ke tamannai the
zindagi aur meri rahbari rahna thi

aaj bhi zaKHm hi khilte hain sar-e-shaKH-e-nihaal
naKHl-e-KHwahish pe wahi be-samari rahna thi

saz-o-saman-e-tayyush to bahut the 'yawar'
apne hisse mein yahi harf-gari rahna thi


Leave a comment

+