Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz rahil Khan

  • Ghazal


ab chalo dekh len yahi kar ke


ab chalo dekh leñ yahī kar ke
apne maazī pe shā.irī kar ke

le ga.ī rāteñ phir ujāloñ ko
phir se bāteñ baḌī baḌī kar ke

rāteñ mujh meñ sukūn kitnā hai
ham ne dekhā ye bandagī kar ke

zindagī ik kitāb thī phir bhī
log guzre ġhalat sahī kar ke

lauTnā hai mujhe vahīñ yāroñ
un ke hī naam zindagī kar ke

'faiz' saudā nahīñ kiyā ham ne
in añdheroñ se raushnī kar ke

ab chalo dekh len yahi kar ke
apne mazi pe shairi kar ke

le gai raaten phir ujalon ko
phir se baaten baDi baDi kar ke

raaten mujh mein sukun kitna hai
hum ne dekha ye bandagi kar ke

zindagi ek kitab thi phir bhi
log guzre ghalat sahi kar ke

lauTna hai mujhe wahin yaron
un ke hi nam zindagi kar ke

'faiz' sauda nahin kiya hum ne
in andheron se raushni kar ke


Leave a comment

+