le ke is ghaaT se us ghaaT ga.ī merā vajūd
fikr dīmak kī tarah chaaT ga.ī merā vajūd
merī barbādī meñ ik shāḳh bhī shāmil thī mirī
ḳhud kulhāḌī to nahīñ kaaT ga.ī merā vajūd
apne me.aar kā bhī daam na mil paayā mujhe
zindagī le ke ka.ī haaT ga.ī merā vajūd
maiñ sikandar thā magar āḳhirī manzil kī taraf
le ke ik TuuTī huī khaaT ga.ī merā vajūd
'faiz' jis miTTī ne tartīb diyā thā mujh ko
ek din miTTī vahī paaT ga.ī merā vajūd
le ke is ghaT se us ghaT gai mera wajud
fikr dimak ki tarah chaT gai mera wajud
meri barbaadi mein ek shaKH bhi shamil thi meri
KHud kulhaDi to nahin kaT gai mera wajud
apne mear ka bhi dam na mil paya mujhe
zindagi le ke kai haT gai mera wajud
main sikandar tha magar aaKHiri manzil ki taraf
le ke ek TuTi hui khaT gai mera wajud
'faiz' jis miTTi ne tartib diya tha mujh ko
ek din miTTi wahi paT gai mera wajud
Leave a comment