Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


sab qatl ho ke tere muqabil se aae hain


sab qatl ho ke tere muqābil se aa.e haiñ
ham log surḳh-rū haiñ ki manzil se aa.e haiñ

sham-e-nazar ḳhayāl ke anjum jigar ke daaġh
jitne charāġh haiñ tirī mahfil se aa.e haiñ

uTh kar to aa ga.e haiñ tirī bazm se magar
kuchh dil hī jāntā hai ki kis dil se aa.e haiñ

har ik qadam ajal thā har ik gaam zindagī
ham ghuum phir ke kūcha-e-qātil se aa.e haiñ

bād-e-ḳhizāñ kā shukr karo 'faiz' jis ke haath
naame kisī bahār-e-shimā.il se aa.e haiñ

sab qatl ho ke tere muqabil se aae hain
hum log surKH-ru hain ki manzil se aae hain

sham-e-nazar KHayal ke anjum jigar ke dagh
jitne charagh hain teri mahfil se aae hain

uTh kar to aa gae hain teri bazm se magar
kuchh dil hi jaanta hai ki kis dil se aae hain

har ek qadam ajal tha har ek gam zindagi
hum ghum phir ke kucha-e-qatil se aae hain

baad-e-KHizan ka shukr karo 'faiz' jis ke hath
name kisi bahaar-e-shimail se aae hain

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Farida Khanum RECITATIONS Farida Khanum



00:00/00:00 sab qatl ho ke tere muqabil se aae hain Farida Khanum

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 240)

Leave a comment

+