Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Yawar

  • Ghazal


suKHan ko be-hisi ki qaid se bahar nikalun


suḳhan ko be-hisī kī qaid se bāhar nikālūñ
tumhārī diid kā koī nayā manzar nikālūñ

ye be-masraf sī shai har gaam aaḌe aane vaalī
anā kī keñchulī ko jism se bāhar nikālūñ

tilismī mārke kahte haiñ ab sar ho chuke haiñ
zarā zambīl ke kone se maiñ bhī sar nikālūñ

lahū mahkā to saarā shahr pāgal ho gayā hai
maiñ kis saf se uThūñ kis ke liye ḳhanjar nikālūñ

bas ab to munjamid zehnoñ kī 'yāvar' barf pighle
kahāñ tak apnī istedād ke jauhar nikālūñ

suKHan ko be-hisi ki qaid se bahar nikalun
tumhaari did ka koi naya manzar nikalun

ye be-masraf si shai har gam aaDe aane wali
ana ki kenchuli ko jism se bahar nikalun

tilismi marke kahte hain ab sar ho chuke hain
zara zambil ke kone se main bhi sar nikalun

lahu mahka to sara shahr pagal ho gaya hai
main kis saf se uThun kis ke liye KHanjar nikalun

bas ab to munjamid zehnon ki 'yawar' barf pighle
kahan tak apni istedad ke jauhar nikalun


Leave a comment

+