Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin


vafā-e-vāda nahīñ vāda-e-digar bhī nahīñ
vo mujh se rūThe to the lekin is qadar bhī nahīñ

baras rahī hai harīm-e-havas meñ daulat-e-husn
gadā-e-ishq ke kaase meñ ik nazar bhī nahīñ

na jaane kis liye ummīd-vār baiThā huuñ
ik aisī raah pe jo terī rahguzar bhī nahīñ

nigāh-e-shauq sar-e-bazm be-hijāb na ho
vo be-ḳhabar hī sahī itne be-ḳhabar bhī nahīñ

ye ahd-e-tark-e-mohabbat hai kis liye āḳhir
sukūn-e-qalb udhar bhī nahīñ idhar bhī nahīñ

wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin
wo mujh se ruThe to the lekin is qadar bhi nahin

baras rahi hai harim-e-hawas mein daulat-e-husn
gada-e-ishq ke kase mein ek nazar bhi nahin

na jaane kis liye ummid-war baiTha hun
ek aisi rah pe jo teri rahguzar bhi nahin

nigah-e-shauq sar-e-bazm be-hijab na ho
wo be-KHabar hi sahi itne be-KHabar bhi nahin

ye ahd-e-tark-e-mohabbat hai kis liye aaKHir
sukun-e-qalb udhar bhi nahin idhar bhi nahin

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Farida Khanum RECITATIONS Faiz Ahmad Faiz Hamida Bano



00:00/00:00 wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin Faiz Ahmad Faiz

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 67)

Leave a comment

+