Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam


rañg pairāhan kā ḳhushbū zulf lahrāne kā naam
mausam-e-gul hai tumhāre baam par aane kā naam

dosto us chashm o lab kī kuchh kaho jis ke baġhair
gulsitāñ kī baat rañgīñ hai na mai-ḳhāne kā naam

phir nazar meñ phuul mahke dil meñ phir sham.eñ jalīñ
phir tasavvur ne liyā us bazm meñ jaane kā naam

dilbarī Thahrā zabān-e-ḳhalq khulvāne kā naam
ab nahīñ lete parī-rū zulf bikhrāne kā naam

ab kisī lailā ko bhī iqrār-e-mahbūbī nahīñ
in dinoñ badnām hai har ek dīvāne kā naam

mohtasib kī ḳhair ūñchā hai usī ke faiz se
rind kā saaqī kā mai kā ḳhum kā paimāne kā naam

ham se kahte haiñ chaman vaale ġharībān-e-chaman
tum koī achchhā sā rakh lo apne vīrāne kā naam

'faiz' un ko hai taqāzā-e-vafā ham se jinheñ
āshnā ke naam se pyārā hai begāne kā naam

rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam

dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-KHane ka nam

phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam

dilbari Thahra zaban-e-KHalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam

ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam

mohtasib ki KHair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka KHum ka paimane ka nam

hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam

'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Bharathi Vishwanathan Habib Wali Mohammad Firdausi Begum Mehdi Hasan RECITATIONS Iqbal Bano



00:00/00:00 rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam Iqbal Bano

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 151)

Leave a comment

+