Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi


kab Thahregā dard ai dil kab raat basar hogī
sunte the vo ā.eñge sunte the sahar hogī

kab jaan lahū hogī kab ashk guhar hogā
kis din tirī shunvā.ī ai dīda-e-tar hogī

kab mahkegī fasl-e-gul kab bahkegā mai-ḳhāna
kab sub.h-e-suḳhan hogī kab shām-e-nazar hogī

vaa.iz hai na zāhid hai nāseh hai na qātil hai
ab shahr meñ yāroñ kī kis tarah basar hogī

kab tak abhī rah dekheñ ai qāmat-e-jānāna
kab hashr muayyan hai tujh ko to ḳhabar hogī

kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi

kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi

kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-KHana
kab subh-e-suKHan hogi kab sham-e-nazar hogi

waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi

kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana
kab hashr muayyan hai tujh ko to KHabar hogi

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Malika Pukhraj Iqbal Bano Gurmeet Moksh Malika Pukhraj RECITATIONS Iqbal Bano



00:00/00:00 kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi Iqbal Bano

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 347)

Leave a comment

+