Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai


tum aa.e ho na shab-e-intizār guzrī hai
talāsh meñ hai sahar baar baar guzrī hai

junūñ meñ jitnī bhī guzrī ba-kār guzrī hai
agarche dil pe ḳharābī hazār guzrī hai

huī hai hazrat-e-nāseh se guftugū jis shab
vo shab zarūr sar-e-kū-e-yār guzrī hai

vo baat saare fasāne meñ jis kā zikr na thā
vo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai

na gul khile haiñ na un se mile na mai pī hai
ajiib rañg meñ ab ke bahār guzrī hai

chaman pe ġhārat-e-gul-chīñ se jaane kyā guzrī
qafas se aaj sabā be-qarār guzrī hai

tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai

junun mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe KHarabi hazar guzri hai

hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab
wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai

wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai

na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajib rang mein ab ke bahaar guzri hai

chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qarar guzri hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Asad Amanat Ali Habib Wali Mohammad Mehdi Hasan Ustad Ummeed Ali Khan Rafaqat Ali Khan Amir Ali Khan Faiz Ahmad Faiz RECITATIONS Amir Ali Khan Iqbal Bano



00:00/00:00 tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai Amir Ali Khan

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 132)

Leave a comment

+