Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


aae kuchh abr kuchh sharab aae


aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e
is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e

bām-e-mīnā se māhtāb utre
dast-e-sāqī meñ āftāb aa.e

har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho
sāmne phir vo be-naqāb aa.e

umr ke har varaq pe dil kī nazar
terī mehr-o-vafā ke baab aa.e

kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e

na ga.ī tere ġham kī sardārī
dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e

jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e

is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī
goyā har samt se javāb aa.e

'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil
ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e

aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azab aae

baam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi mein aaftab aae

har rag-e-KHun mein phir charaghan ho
samne phir wo be-naqab aae

umr ke har waraq pe dil ki nazar
teri mehr-o-wafa ke bab aae

kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae

na gai tere gham ki sardari
dil mein yun roz inqalab aae

jal uThe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi hum KHanuman-KHarab aae

is tarah apni KHamushi gunji
goya har samt se jawab aae

'faiz' thi rah sar-ba-sar manzil
hum jahan pahunche kaamyab aae

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Vithal Rao Unknown Ghulam Ali Runa Laila Mehdi Hasan Unknown Jagjit Singh Shakeela Khurasani Sajjad Husain RECITATIONS Mehdi Hasan Runa Laila



00:00/00:00 aae kuchh abr kuchh sharab aae Mehdi Hasan

Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 173)

Leave a comment

+