usī se fikr-o-fan ko har ghaḌī mansūb rakhte haiñ
ġhazal vaale ġhazal ko sūrat-e-mahbūb rakhte haiñ
zabāñ kī chāshnī se tar-ba-tar ġhazloñ ko paḌhtā huuñ
ye rūhānī ġhizā hai ham jise marġhūb rakhte haiñ
ġhazal tahzīb hai merī ġhazal merā tamaddun hai
buzurgoñ ne jo rakkhā thā vahī uslūb rakhte haiñ
sunāte haiñ tahat meñ jab ġhazal andāz meñ apne
pukār uThtī hai duniyā zauq ham kyā ḳhuub rakhte haiñ
ġhazal bas is liye phailā rahī hai apne dāman ko
ki ham ġhazloñ ke tevar ko bahut hī ḳhuub rakhte haiñ
jinheñ ġhazloñ se uljhan hai miyāñ 'fayyāz' kyā boleñ
nazākat se ġhazal kī ham unheñ mar.ūb rakhte haiñ
usi se fikr-o-fan ko har ghaDi mansub rakhte hain
ghazal wale ghazal ko surat-e-mahbub rakhte hain
zaban ki chashni se tar-ba-tar ghazlon ko paDhta hun
ye ruhani ghiza hai hum jise marghub rakhte hain
ghazal tahzib hai meri ghazal mera tamaddun hai
buzurgon ne jo rakkha tha wahi uslub rakhte hain
sunate hain tahat mein jab ghazal andaz mein apne
pukar uThti hai duniya zauq hum kya KHub rakhte hain
ghazal bas is liye phaila rahi hai apne daman ko
ki hum ghazlon ke tewar ko bahut hi KHub rakhte hain
jinhen ghazlon se uljhan hai miyan 'fayyaz' kya bolen
nazakat se ghazal ki hum unhen marub rakhte hain
Source: Book : Fasl-e-khayaal (Pg. 27) Author : Faiyaz Rashk Publication : Arshia Publications (2016) Edition : 2016
Leave a comment