un laboñ kī yaad aa.ī gul ke muskurāne se
zaḳhm-e-dil ubhar aa.e phir bahār aane se
jaane thī gurez un ko yā ki sharm mahfil meñ
raat mujh se katrā.e vo nazar milāne se
raaz jo chhupā.e the aaj sab pe zāhir haiñ
kuchh mirī kahānī se kuchh tire fasāne se
haal jo hamārā hai sab to un pe raushan hai
phir batā.ūñ kyā hogā hāl-e-dil sunāne se
un ko ham se kyā matlab ham ko kyā ġharaz 'fayyāz'
tark ishq kar baiThe ham to ik zamāne se
un labon ki yaad aai gul ke muskurane se
zaKHm-e-dil ubhar aae phir bahaar aane se
jaane thi gurez un ko ya ki sharm mahfil mein
raat mujh se katrae wo nazar milane se
raaz jo chhupae the aaj sab pe zahir hain
kuchh meri kahani se kuchh tere fasane se
haal jo hamara hai sab to un pe raushan hai
phir bataun kya hoga haal-e-dil sunane se
un ko hum se kya matlab hum ko kya gharaz 'fayyaz'
tark ishq kar baiThe hum to ek zamane se
Source: Book : Anoop Jalota ki Ghazalen (Pg. 63) Author : Anoop Jalota Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Leave a comment