Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Nadeem Faisal

  • Ghazal


mujh par nishan lagaiye pahle sawaliye


mujh par nishāñ lagā.iye pahle savāliye
phir mas.aloñ ko kholiye aur hal nikāliye

jazbāt aa sake haiñ kabhī iḳhtiyār meñ
āñkhoñ kī fikr chhoḌiye dil ko sambhāliye

vahshat ne merī niiñd pe pahre lagā diye
kuchh ḳhvāb merī aañkh kī jānib uchhāliye

vahm-o-gumāñ utaar ke pheñke haiñ aur phir
ham ne yaqīñ kī uun se ḳhirqe silā liye

kam paḌ rahā thā pahle hī kashkol-e-zindagī
aur ham ne apnī zaat ke ġham bhī uThā liye

kuchh log gaañv chhoḌ ke shahroñ meñ jā base
baaqī ko intizār kī dīmak ne khā liye

'faisal' vo phir bhī aañkh pe zāhir nahīñ huā
parde bhī darmiyān se saare uThā liye

mujh par nishan lagaiye pahle sawaliye
phir masalon ko kholiye aur hal nikaliye

jazbaat aa sake hain kabhi iKHtiyar mein
aankhon ki fikr chhoDiye dil ko sambhaaliye

wahshat ne meri nind pe pahre laga diye
kuchh KHwab meri aankh ki jaanib uchhaaliye

wahm-o-guman utar ke phenke hain aur phir
hum ne yaqin ki un se KHirqe sila liye

kam paD raha tha pahle hi kashkol-e-zindagi
aur hum ne apni zat ke gham bhi uTha liye

kuchh log ganw chhoD ke shahron mein ja base
baqi ko intizar ki dimak ne kha liye

'faisal' wo phir bhi aankh pe zahir nahin hua
parde bhi darmiyan se sare uTha liye


Leave a comment

+