Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Azeem

  • Ghazal


ye mantar bhi purane jam-e-jam bhi


ye mantar bhī purāne jām-e-jam bhī
bahut dekhe haiñ ye naqsh-e-qadam bhī

ye nāTak ho rahe haiñ muddatoñ se
kahāñ tak tāliyāñ pīTeñge ham bhī

na.e sajde na.ī haiñ sajda-gāheñ
rakhe jā.eñge bosīda sanam bhī

abhī parde uTheñge dekh lenā
nazar ā.eñge pas-manzar meñ ham bhī

ye mantar bhi purane jam-e-jam bhi
bahut dekhe hain ye naqsh-e-qadam bhi

ye naTak ho rahe hain muddaton se
kahan tak taliyan piTenge hum bhi

nae sajde nai hain sajda-gahen
rakhe jaenge bosida sanam bhi

abhi parde uThenge dekh lena
nazar aaenge pas-manzar mein hum bhi


Leave a comment

+