tirī talḳhī ko chakhūñ yā tire husn-e-ma.ānī ko
kitāb-e-zindagī kis ne likhā merī kahānī ko
to sar-tā-pā koī fitna bhī hai shahkār-e-fitrat bhī
magar maiñ zindagī ke naam kar aayā javānī ko
ye kirneñ phūTtī haiñ jo tire chāk-e-garebāñ se
unhī ke nuur se likkhā gayā merī kahānī ko
ye kab jaanā kisī ne ai mujassam raaz tū kyā hai
ki fitrat ne koī marmar tarāshā gul-fishānī ko
kahīñ zaḳhmī sadā.eñ haiñ kahīñ naġhme mohabbat ke
tū kis kī samt moḌā jaa.e ab ke zindagānī ko
teri talKHi ko chakhun ya tere husn-e-maani ko
kitab-e-zindagi kis ne likha meri kahani ko
to sar-ta-pa koi fitna bhi hai shahkar-e-fitrat bhi
magar main zindagi ke nam kar aaya jawani ko
ye kirnen phuTti hain jo tere chaak-e-gareban se
unhi ke nur se likkha gaya meri kahani ko
ye kab jaana kisi ne ai mujassam raaz tu kya hai
ki fitrat ne koi marmar tarasha gul-fishani ko
kahin zaKHmi sadaen hain kahin naghme mohabbat ke
tu kis ki samt moDa jae ab ke zindagani ko
Leave a comment