Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Ajmi

  • Ghazal


shamiyanon ki wazahat to nahin ki gai hai


shāmiyānoñ kī vazāhat to nahīñ kī ga.ī hai
aaj ḳhairāt hai dāvat to nahīñ kī ga.ī hai

dekhtī hai hameñ duniyā use rokā jaa.e
saath rahte haiñ mohabbat to nahīñ kī ga.ī hai

ham ne kaasa hī baḌhāyā hai duā dete hue
dar-ba-dar jā ke shikāyat to nahīñ kī ga.ī hai

rāsta hai ise milne kī jagah kahte haiñ
aap se milne kī zahmat to nahīñ kī ga.ī hai

aaj phir ā.īna dekhā hai ka.ī saal ke baad
kahīñ is baar bhī ujlat to nahīñ kī ga.ī hai

pahlī dhaḌkan hī miyāñ vazan meñ thī shukr karo
shā.irī aaj ināyat to nahīñ kī ga.ī hai

shamiyanon ki wazahat to nahin ki gai hai
aaj KHairaat hai dawat to nahin ki gai hai

dekhti hai hamein duniya use roka jae
sath rahte hain mohabbat to nahin ki gai hai

hum ne kasa hi baDhaya hai dua dete hue
dar-ba-dar ja ke shikayat to nahin ki gai hai

rasta hai ise milne ki jagah kahte hain
aap se milne ki zahmat to nahin ki gai hai

aaj phir aaina dekha hai kai sal ke baad
kahin is bar bhi ujlat to nahin ki gai hai

pahli dhaDkan hi miyan wazan mein thi shukr karo
shairi aaj inayat to nahin ki gai hai


Leave a comment

+