Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Ajmi

  • Ghazal


main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha


maiñ ġhaar meñ thā aur havā ke baġhair thā
ik roz āftāb ziyā ke baġhair thā

sāhil pe aa ke Duub ga.ī naav apne aap
ik shaḳhs us meñ apnī razā ke baġhair thā

sab ro rahe the ḳhauf kī dīvār se lage
kohrām thā ki saut-o-sadā ke baġhair thā

kyuuñ naqsh-e-pā tamām kisī dā.ere meñ the
ye kaun thā jo dast-e-duā ke baġhair thā

'faisal' jo shahr aap hī mismār ho gayā
kyā ilm kab se hamd-o-sanā ke baġhair thā

main ghaar mein tha aur hawa ke baghair tha
ek roz aaftab ziya ke baghair tha

sahil pe aa ke Dub gai naw apne aap
ek shaKHs us mein apni raza ke baghair tha

sab ro rahe the KHauf ki diwar se lage
kohram tha ki saut-o-sada ke baghair tha

kyun naqsh-e-pa tamam kisi daere mein the
ye kaun tha jo dast-e-dua ke baghair tha

'faisal' jo shahr aap hi mismar ho gaya
kya ilm kab se hamd-o-sana ke baghair tha


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 635) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+