Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Ajmi

  • Ghazal


har shaKHs pareshan hai ghabraya hua hai


har shaḳhs pareshān hai ghabrāyā huā hai
mahtāb baḌī der se gahnāyā huā hai

hai koī saḳhī is kī taraf dekhne vaalā
ye haath baḌī der se phailāyā huā hai

hissa hai kisī aur kā is kār-e-ziyāñ meñ
sarmāya kisī aur kā lagvāyā huā hai

sāñpoñ meñ asā pheñk ke ab mahv-e-duā huuñ
mālūm hai dīmak ne use khāyā huā hai

duniyā ke bujhāne se bujhī hai na bujhegī
is aag ko taqdīr ne dahkāyā huā hai

kyā dhuup hai jo abr ke siine se lagī hai
sahrā bhī use dekh ke sharmāyā huā hai

isrār na kar mere ḳharābe se chalā jā
mujh par kisī aaseb kā dil aayā huā hai

tū ḳhvāb-e-digar hai tirī tadfīn kahāñ ho
dil meñ to kisī aur ko dafnāyā huā hai

har shaKHs pareshan hai ghabraya hua hai
mahtab baDi der se gahnaya hua hai

hai koi saKHi is ki taraf dekhne wala
ye hath baDi der se phailaya hua hai

hissa hai kisi aur ka is kar-e-ziyan mein
sarmaya kisi aur ka lagwaya hua hai

sanpon mein asa phenk ke ab mahw-e-dua hun
malum hai dimak ne use khaya hua hai

duniya ke bujhane se bujhi hai na bujhegi
is aag ko taqdir ne dahkaya hua hai

kya dhup hai jo abr ke sine se lagi hai
sahra bhi use dekh ke sharmaya hua hai

israr na kar mere KHarabe se chala ja
mujh par kisi aaseb ka dil aaya hua hai

tu KHwab-e-digar hai teri tadfin kahan ho
dil mein to kisi aur ko dafnaya hua hai


Leave a comment

+