harf apne hī ma.ānī kī tarah hotā hai
pyaas kā zā.iqa paanī kī tarah hotā hai
maiñ bhī ruktā huuñ magar reg-e-ravāñ kī sūrat
merā Thahrāo ravānī kī tarah hotā hai
tere jaate hī maiñ shiknoñ se na bhar jā.ūñ kahīñ
kyuuñ judā mujh se javānī kī tarah hotā hai
jism thaktā nahīñ chalne se ki vahshat kā safar
ḳhvāb meñ naql-e-makānī kī tarah hotā hai
chāñd Dhaltā hai to us kā bhī mujhe dukh 'faisal'
kisī gum-gashta nishānī kī tarah hotā hai
harf apne hi maani ki tarah hota hai
pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
main bhi rukta hun magar reg-e-rawan ki surat
mera Thahrao rawani ki tarah hota hai
tere jate hi main shiknon se na bhar jaun kahin
kyun juda mujh se jawani ki tarah hota hai
jism thakta nahin chalne se ki wahshat ka safar
KHwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai
chand Dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh 'faisal'
kisi gum-gashta nishani ki tarah hota hai
Leave a comment