Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fahmida Riaz

  • Ghazal


kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein


kabhī dhanak sī utartī thī un nigāhoñ meñ
vo shoḳh rañg bhī dhīme paḌe havāoñ meñ

maiñ tez-gām chalī jā rahī thī us kī samt
kashish ajiib thī us dasht kī sadāoñ meñ

vo ik sadā jo fareb-e-sadā se bhī kam hai
na Duub jaa.e kahīñ tund-rau havāoñ meñ

sukūt-e-shām hai aur maiñ huuñ gosh-bar-āvāz
ki ek va.ade kā afsūñ sā hai fazāoñ meñ

mirī tarah yūñhī gum-karda-rāh chhoḌegī
tum apnī baañh na denā havā kī bāñhoñ meñ

nuqūsh paañv ke likhte haiñ manzil-e-nā-yāft
mirā safar to hai tahrīr merī rāhoñ meñ

kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein
wo shoKH rang bhi dhime paDe hawaon mein

main tez-gam chali ja rahi thi us ki samt
kashish ajib thi us dasht ki sadaon mein

wo ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai
na Dub jae kahin tund-rau hawaon mein

sukut-e-sham hai aur main hun gosh-bar-awaz
ki ek wade ka afsun sa hai fazaon mein

meri tarah yunhi gum-karda-rah chhoDegi
tum apni banh na dena hawa ki banhon mein

nuqush panw ke likhte hain manzil-e-na-yaft
mera safar to hai tahrir meri rahon mein

RECITATIONS Azra Naqvi



00:00/00:00 kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein Azra Naqvi

Leave a comment

+